badnam hua aap pe ilzam na aaya
badnām huā aap pe ilzām na aayā
ik dil ke sivā koī mire kaam na aayā
āñkhoñ meñ kuchh aañsū to zarūr aa.e haiñ lekin
hoñToñ pe bahar-hāl tirā naam na aayā
saaya hī mirā sirf mire saath rahā hai
is dhuup meñ chal kar koī do gaam na aayā
lahrā.ī koī zulf to ghir aa.iiñ ghaTā.eñ
mujh tak to sar-e-bazm koī jaam na aayā
sad-shukr shab-e-vā'da na thī aur chale aa.e
sad-haif vo din jab koī paiġhām na aayā
vo merī ḳhalish ho ki tamanna ki tirā pyaar
saa.e kī tarah koī tah-e-dām na aayā
kyā jāniye kyā biit ga.ī jaan pe us kī
vo sub.h kā bhūlā jo sar-e-shām na aayā
jalnā to 'sirāj' apne liye vaj.h-e-sukūñ hai
jis shab na jale sub.h tak ārām na aayā
badnam hua aap pe ilzam na aaya
ek dil ke siwa koi mere kaam na aaya
aankhon mein kuchh aansu to zarur aae hain lekin
honTon pe bahar-haal tera nam na aaya
saya hi mera sirf mere sath raha hai
is dhup mein chal kar koi do gam na aaya
lahrai koi zulf to ghir aain ghaTaen
mujh tak to sar-e-bazm koi jam na aaya
sad-shukr shab-e-wa'da na thi aur chale aae
sad-haif wo din jab koi paigham na aaya
wo meri KHalish ho ki tamanna ki tera pyar
sae ki tarah koi tah-e-dam na aaya
kya jaaniye kya bit gai jaan pe us ki
wo subh ka bhula jo sar-e-sham na aaya
jalna to 'siraj' apne liye wajh-e-sukun hai
jis shab na jale subh tak aaram na aaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.