baghair aap ke jina saza sa lagta hai
baġhair aap ke jiinā sazā sā lagtā hai
hamārā haal hameñ ḳhud burā sā lagtā hai
haañ aisā vaqt bhī aatā hai rāh-e-ulfat meñ
qarīb hote hue fāsla sā lagtā hai
yaqīn kījiye jis din se ḳhat likhā us ko
har ek shaḳhs mujhe Dākiyā sā lagtā hai
mire ḳhudā tirī imdād kī zarūrat hai
mujhe ye shahr bhī ab karbalā sā lagtā hai
hamāre sāmne jab tum kisī se milte ho
burā na mānñā ham ko burā sā lagtā hai
maiñ jāntā huuñ ki vo bevafā nahīñ lekin
kabhī kabhī vo mujhe bevafā sā lagtā hai
baghair aap ke jina saza sa lagta hai
hamara haal hamein KHud bura sa lagta hai
han aisa waqt bhi aata hai rah-e-ulfat mein
qarib hote hue fasla sa lagta hai
yaqin kijiye jis din se KHat likha us ko
har ek shaKHs mujhe Dakiya sa lagta hai
mere KHuda teri imdad ki zarurat hai
mujhe ye shahr bhi ab karbala sa lagta hai
hamare samne jab tum kisi se milte ho
bura na manna hum ko bura sa lagta hai
main jaanta hun ki wo bewafa nahin lekin
kabhi kabhi wo mujhe bewafa sa lagta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.