bahaar aae to ek phul bhi chaman mein na ho
bahār aa.e to ik phuul bhī chaman meñ na ho
ab aisā hādsa koī mire vatan meñ na ho
mujhe to saañs bhī lenā muhāl ho jaa.e
tumhārī ḳhushbū agar mere pairahan meñ na ho
sajā.ūñ anjuman ik ḳhalvatī kī ḳhvāhish hai
magar hai shart koī aur anjuman meñ na ho
baras rahā hai añdherā makāñ se bāhar bhī
tumhārī tarh kahīñ chāñd bhī gahan meñ na ho
chalūñ ki chalte hī rahne meñ 'āfiyat hai mirī
rukūñ to aur izāfa kahīñ thakan meñ na ho
ye raat din jo mire ghar meñ ret uḌtī hai
chhupā huā koī sahrā mire badan meñ na ho
savāl ye hai ki phir aadmī kahāñ jaa.e
agar ḳhudā bhī mayassar akele-pan meñ na ho
bahaar aae to ek phul bhi chaman mein na ho
ab aisa hadsa koi mere watan mein na ho
mujhe to sans bhi lena muhaal ho jae
tumhaari KHushbu agar mere pairahan mein na ho
sajaun anjuman ek KHalwati ki KHwahish hai
magar hai shart koi aur anjuman mein na ho
baras raha hai andhera makan se bahar bhi
tumhaari tarh kahin chand bhi gahan mein na ho
chalun ki chalte hi rahne mein 'afiyat hai meri
rukun to aur izafa kahin thakan mein na ho
ye raat din jo mere ghar mein ret uDti hai
chhupa hua koi sahra mere badan mein na ho
sawal ye hai ki phir aadmi kahan jae
agar KHuda bhi mayassar akele-pan mein na ho
- Book : Ek Shaam Tumhare Hisse Ki (Pg. 98)
- Author : Kashif Husain Ghair
- Publication : Rekhta Publications (2018)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.