Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

bahaar-e-zist ki mahrumiyan are tauba

Shams Farrukhabadi

bahaar-e-zist ki mahrumiyan are tauba

Shams Farrukhabadi

MORE BYShams Farrukhabadi

    bahār-e-zīst mahrūmiyāñ are tauba

    dil-e-shagufta nākāmiyāñ are tauba

    visāl-e-yār hasrat are ma.āz-allāh

    firāq-o-shauq betābiyāñ are tauba

    payām-e-dāvat-e-mai nīm-bāz āñkhoñ se

    nigāh-e-nāz rañgīniyāñ are tauba

    ḳhudā ne ishq ko majbūriyoñ ġham de kar

    likhīñ nasīb meñ barbādiyāñ are tauba

    hamārī aañkh se aañsū bhī shams' bah na sake

    dil-e-ġharīb majbūriyāñ are tauba

    bahaar-e-zist ki mahrumiyan are tauba

    dil-e-shagufta ki nakaamiyan are tauba

    visal-e-yar ki hasrat are maaz-allah

    firaq-o-shauq ki betabiyan are tauba

    payam-e-dawat-e-mai nim-baz aankhon se

    nigah-e-naz ki ranginiyan are tauba

    KHuda ne ishq ko majburiyon ka gham de kar

    likhin nasib mein barbaadiyan are tauba

    hamari aankh se aansu bhi shams' bah na sake

    dil-e-gharib ki majburiyan are tauba

    Source:

    Jalte kanval (Pg. E-28 B-26)

    • Author: Shams Farrukhabadi
      • Edition: 1968
      • Publisher: Matba Nami Press, Lucknow
      • Year of Publication: 1968
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now