bahut aabaad gaon ke shajar hain
bahut ābād gaaoñ ke shajar haiñ
parinde beshtar be-bāl-o-par haiñ
du'āoñ meñ asar aa.e to kaise
hamārī ḳhvāhisheñ nā-mo'tabar haiñ
use karnī thī mere fan pe tanqīd
magar hamle to merī zaat par haiñ
bazāhir bastiyāñ ujḌī huī haiñ
magar in meñ abhī ābād ghar haiñ
hamārī zindagī hai do gharoñ kī
ki ham aadhe idhar aadhe udhar haiñ
hamārī manzileñ haiñ duur lekin
hamāre rāste to muḳhtasar haiñ
ham in se baat kar lete haiñ 'āsim'
magar dīvār-o-dar dīvār-o-dar haiñ
bahut aabaad gaon ke shajar hain
parinde beshtar be-baal-o-par hain
du'aon mein asar aae to kaise
hamari KHwahishen na-mo'tabar hain
use karni thi mere fan pe tanqid
magar hamle to meri zat par hain
bazahir bastiyan ujDi hui hain
magar in mein abhi aabaad ghar hain
hamari zindagi hai do gharon ki
ki hum aadhe idhar aadhe udhar hain
hamari manzilen hain dur lekin
hamare raste to muKHtasar hain
hum in se baat kar lete hain 'asim'
magar diwar-o-dar diwar-o-dar hain
- Book : Lafz Mehfooz Kar Liye Jaayen (Pg. 107)
- Author : Asim Wasti
- Publication : Rekhta Publications (2020)
- Edition : 2nd
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.