Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

bahut be-zar hoti ja rahi hun

Ambarin Salahuddin

bahut be-zar hoti ja rahi hun

Ambarin Salahuddin

MORE BYAmbarin Salahuddin

    bahut be-zār hotī rahī huuñ

    maiñ ḳhud par baar hotī rahī huuñ

    tumheñ iqrār ke raste pe kar

    maiñ ḳhud inkār hotī rahī huuñ

    kahīñ maiñ huuñ sarāpā rahguzar aur

    kaheñ dīvār hotī rahī huuñ

    bahut muddat se apnī khoj meñ thī

    so ab iz.hār hotī rahī huuñ

    bhañvar dil tahoñ meñ ban rahe haiñ

    maiñ be-patvār hotī rahī huuñ

    tumhārī guftugū ke darmiyāñ ab

    yūñhī takrār hotī rahī huuñ

    ye koī ḳhvāb karvaT le rahā hai

    ki maiñ be-dār hotī rahī huuñ

    kisī lahje narmī khul rahī hai

    bahut sarshār hotī rahī huuñ

    mirā tesha zamīñ meñ gaḌ gayā hai

    junūñ haar hotī rahī huuñ

    bahut be-zar hoti ja rahi hun

    main KHud par bar hoti ja rahi hun

    tumhein iqrar ke raste pe la kar

    main KHud inkar hoti ja rahi hun

    kahin main hun sarapa rahguzar aur

    kahen diwar hoti ja rahi hun

    bahut muddat se apni khoj mein thi

    so ab izhaar hoti ja rahi hun

    bhanwar dil ki tahon mein ban rahe hain

    main be-patwar hoti ja rahi hun

    tumhaari guftugu ke darmiyan ab

    yunhi takrar hoti ja rahi hun

    ye koi KHwab karwaT le raha hai

    ki main be-dar hoti ja rahi hun

    kisi lahje ki narmi khul rahi hai

    bahut sarshaar hoti ja rahi hun

    mera tesha zamin mein gaD gaya hai

    junun ki haar hoti ja rahi hun

    Source:

    Sadiyo.n Jaise Pal (Pg. 152)

    • Author: AMBARIN SALAHUDDIN
      • Edition: 2014
      • Publisher: AMBARIN SALAHUDDIN
      • Year of Publication: 2014
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now