bahut dinon mein junun mein kamal maine kiya
bahut dinoñ meñ junūñ meñ kamāl maiñ ne kiyā
kal us ke baare meñ pahlā savāl maiñ ne kiyā
koī to baat hai sadiyoñ alag rahā jis se
ta'alluq us se dubāra bahāl maiñ ne kiyā
milā hai mujh ko ishāra udhar kā jis din se
munāfiqīn kā jiinā muhāl maiñ ne kiyā
ye sarkashī hai ki josh-e-junūñ ḳhudā jaane
ba-zo'm-e-ḳhud use ḳhud par halāl maiñ ne kiyā
hazāroñ log mile mil ke sab bichhaḌ bhī ga.e
kisī kā dil se na lekin malāl maiñ ne kiyā
mujhe vo shaḳhs kuchh itnā 'azīz thā 'najmī'
qazā thī us kī magar intiqāl maiñ ne kiyā
bahut dinon mein junun mein kamal main ne kiya
kal us ke bare mein pahla sawal main ne kiya
koi to baat hai sadiyon alag raha jis se
ta'alluq us se dubara bahaal main ne kiya
mila hai mujh ko ishaara udhar ka jis din se
munafiqin ka jina muhaal main ne kiya
ye sarkashi hai ki josh-e-junun KHuda jaane
ba-zo'm-e-KHud use KHud par halal main ne kiya
hazaron log mile mil ke sab bichhaD bhi gae
kisi ka dil se na lekin malal main ne kiya
mujhe wo shaKHs kuchh itna 'aziz tha 'najmi'
qaza thi us ki magar intiqal main ne kiya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.