bahut kuchh aata hai lekin adakari nahin aati
bahut kuchh aatā hai lekin adākārī nahīñ aatī
ki sāda-lauh haiñ ham ham ko hushyārī nahīñ aatī
hamārī samt aa kar lauT jaate haiñ sabhī dariyā
hamārī pyaas ko un kī taraf-dārī nahīñ aatī
luTā dete haiñ ḳhud ko duniyā kī jhūTī mohabbat meñ
hameñ aate hue bhī ab samajhdārī nahīñ aatī
agar dekhe koī to kam nahīñ hai vus'ateñ is kī
hamārī aañkh meñ kyoñ raushnī saarī nahīñ aatī
bahut kuchh aata hai lekin adakari nahin aati
ki sada-lauh hain hum hum ko hushyari nahin aati
hamari samt aa kar lauT jate hain sabhi dariya
hamari pyas ko un ki taraf-dari nahin aati
luTa dete hain KHud ko duniya ki jhuTi mohabbat mein
hamein aate hue bhi ab samajhdari nahin aati
agar dekhe koi to kam nahin hai wus'aten is ki
hamari aankh mein kyon raushni sari nahin aati
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.