aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

bahut kuchh bhul ho gai bhulne ka shad sun aaya

Shad Azimabadi

bahut kuchh bhul ho gai bhulne ka shad sun aaya

Shad Azimabadi

MORE BYShad Azimabadi

    bahut kuchh bhuul ho ga.ī bhūlne 'shād' sun aayā

    mirī jaañ ġham abas hai jhiḌkiyāñ sunñe din aayā

    zarūr us ne kiyā qāsid se va.ada apne aane

    gayā thā muztarib yaañ se vahāñ se mutma.in aayā

    dil-e-sad-pāra se nisbat nahīñ zinhār ai bulbul

    chaman meñ ke āshiq patiyāñ phūloñ gin aayā

    baḌī azmat se ḳhud saaqī ne kar peshvā.ī

    sharābī koī mai-ḳhāna ke andar jab musin aayā

    chalo vaa.iz se hargiz kuchh na bolo chup raho rindo

    huā josh-e-ġhazab sar pe us nādāñ ke jin aayā

    marīz-e-ġham sehat ḳhabar allāh sunvā.e

    gayā jo paas us ke 'shād' vo phir mutma.in aayā

    bahut kuchh bhul ho gai bhulne ka 'shad' sun aaya

    meri jaan gham abas hai jhiDkiyan sunne ka din aaya

    zarur us ne kiya qasid se wada apne aane ka

    gaya tha muztarib yan se wahan se mutmain aaya

    dil-e-sad-para se nisbat nahin zinhaar ai bulbul

    chaman mein ja ke aashiq patiyan phulon ki gin aaya

    baDi azmat se KHud saqi ne ja kar peshwai ki

    sharabi koi mai-KHana ke andar jab musin aaya

    chalo waiz se hargiz kuchh na bolo chup raho rindo

    hua josh-e-ghazab ya sar pe us nadan ke jin aaya

    mariz-e-gham ki sehat ki KHabar allah sunwae

    gaya jo pas us ke 'shad' wo phir mutmain aaya

    Source:

    Dewan-e-shad Azimabadi (Pg. 121)

    • Author: Shad Azimabadi
      • Edition: 2005
      • Publisher: Educational Publishing House
      • Year of Publication: 2005
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now