bahut rote hain lekin dil ki virani nahin jati
bahut rote haiñ lekin dil kī vīrānī nahīñ jaatī
ho koshish bhī jo jiine kī to be-jānī nahīñ jaatī
samajhte haiñ ki ye hijrat muqaddar hai zamāne kā
samajh kar bhī hamāre man kī nādānī nahīñ jaatī
hamāre zehn-o-dil meñ ek tūfāñ hai jo vahshat kā
kashīd-e-jām-o-mai se bhī ye bohrānī nahīñ jaatī
batāo ham ko nā vā'iz hameñ ‘irfān-e-‘ālam hai
añdherā ho jo āñkhoñ meñ to pahchānī nahīñ jaatī
ye ik jhagḌā hai tan-man meñ ye ik paikār-e-jān-o-dil
ye sab kuchh hai magar man kī ye man-mānī nahīñ jaatī
bahut se tai kiye ham ne ġhamoñ kī sard rāhoñ ko
magar ik rāh-e-ġham ye jis kī daurānī nahīñ jaatī
bahā.e chashm-o-mizhgāñ ne jo ashk-e-ḳhūn-e-dil ab ke
ye chāhā bhī ki tham jaa.e to bārānī nahīñ jaatī
ye kaise ho gayā mumkin ki jo jān-e-dil-o-jāñ the
judā bhī ho ga.e ham se ye hairānī nahīñ jaatī
yahāñ 'āhan' jo baiThā hai kanār-e-turbat-e-ābā
so is ke tāb-e-shauq-e-ġham kī tābānī nahīñ jaatī
bahut rote hain lekin dil ki virani nahin jati
ho koshish bhi jo jine ki to be-jaani nahin jati
samajhte hain ki ye hijrat muqaddar hai zamane ka
samajh kar bhi hamare man ki nadani nahin jati
hamare zehn-o-dil mein ek tufan hai jo wahshat ka
kashid-e-jam-o-mai se bhi ye bohrani nahin jati
batao hum ko na wa'iz hamein ‘irfan-e-‘alam hai
andhera ho jo aankhon mein to pahchani nahin jati
ye ek jhagDa hai tan-man mein ye ek paikar-e-jaan-o-dil
ye sab kuchh hai magar man ki ye man-mani nahin jati
bahut se tai kiye hum ne ghamon ki sard rahon ko
magar ek rah-e-gham ye jis ki daurani nahin jati
bahae chashm-o-mizhgan ne jo ashk-e-KHun-e-dil ab ke
ye chaha bhi ki tham jae to barani nahin jati
ye kaise ho gaya mumkin ki jo jaan-e-dil-o-jaan the
juda bhi ho gae hum se ye hairani nahin jati
yahan 'ahan' jo baiTha hai kanar-e-turbat-e-aba
so is ke tab-e-shauq-e-gham ki tabani nahin jati
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.