Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

bahut se raston mein tu ne jo rasta chuna tha

Mohammad Izhar ul Haq

bahut se raston mein tu ne jo rasta chuna tha

Mohammad Izhar ul Haq

MORE BYMohammad Izhar ul Haq

    bahut se rāstoñ meñ ne jo rasta chunā thā

    farishte aaj tak hairat meñ haiñ kaisā chunā thā

    bahut se shahr rahne ke liye hāzir the lekin

    hamesha zinda rahne ke liye sahrā chunā thā

    jo pīchhe aa rahe the un se ġhāfil nahīñ thā

    ki ne rāste ek ik kāñTā chunā thā

    jahāñ meñ kaun thā dosh-e-nabī jis thā murakkab

    isī ḳhātir barahna-pā.ī ne tujh chunā thā

    zamāna jāntā hai kaun thā jo paar utrā

    ki ne pyaas aur darbār ne dariyā chunā thā

    bahut se raston mein tu ne jo rasta chuna tha

    farishte aaj tak hairat mein hain kaisa chuna tha

    bahut se shahr rahne ke liye hazir the lekin

    hamesha zinda rahne ke liye sahra chuna tha

    jo pichhe aa rahe the un se tu ghafil nahin tha

    ki tu ne raste ka ek ek kanTa chuna tha

    jahan mein kaun tha dosh-e-nabi jis ka tha murakkab

    isi KHatir barahna-pai ne tujh sa chuna tha

    zamana jaanta hai kaun tha jo par utra

    ki tu ne pyas aur darbar ne dariya chuna tha

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now