bahut udas tha suraj ghurub hota hua
bahut udaas thā sūraj ġhurūb hotā huā
qarīb maiñ bhī khaḌā thā vahīñ pe rotā huā
koī bhī pahuñchā nahīñ hai zamāñ ke peñde tak
maiñ us maqām pe pahuñchā sukūñ se sotā huā
bikhar to saktā nahīñ maiñ kisī ke marne se
maiñ jī rahā huuñ magar kirchiyāñ chubhotā huā
muhīb raat ke āseb-rang 'ālam meñ
fanā kī jhiil se niklā maiñ daaġh dhotā huā
kisī daraḳht ke saa.e meñ yaad karnā mujhe
maiñ tere shahr se guzrūñgā biij botā huā
bahut udas tha suraj ghurub hota hua
qarib main bhi khaDa tha wahin pe rota hua
koi bhi pahuncha nahin hai zaman ke pende tak
main us maqam pe pahuncha sukun se sota hua
bikhar to sakta nahin main kisi ke marne se
main ji raha hun magar kirchiyan chubhota hua
muhib raat ke aaseb-rang 'alam mein
fana ki jhil se nikla main dagh dhota hua
kisi daraKHt ke sae mein yaad karna mujhe
main tere shahr se guzrunga bij bota hua
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.