baiTh kar chae pi humne jahan barsat ke baad
baiTh kar chaa.e pī ham ne jahāñ barsāt ke baa'd
terī ḳhushbū usī kamre meñ hai us raat ke baa'd
bas tirī baat sunī thī jo vahī kaafī thī
kaun suntā hai koī baat tirī baat ke baa'd
o.e-ho.e ye tirī uñgliyāñ barkat vaalī
mere kaase meñ chamak hai tirī ḳhairāt ke baa'd
apnī nazroñ ke ḳhazānoñ se diyā jo tū ne
ek tavangar se lage ham tirī sauġhāt ke baa'd
maiñ ḳhatā-kār rahūñ phir bhī navāze aisī
aur koī zaat na dekhī tirī ik zaat ke baa'd
yuuñ to sahtā rahā dhūpoñ kī vo bauchhāreñ magar
merā ghar Tuut gayā thoḌī sī barsāt ke baa'd
zindagī ne to har ik ġham se navāzā 'āqib'
kyā bachā aur batā is kī 'ināyāt ke baa'd
baiTh kar chae pi hum ne jahan barsat ke ba'd
teri KHushbu usi kamre mein hai us raat ke ba'd
bas teri baat suni thi jo wahi kafi thi
kaun sunta hai koi baat teri baat ke ba'd
oe-hoe ye teri ungliyan barkat wali
mere kase mein chamak hai teri KHairaat ke ba'd
apni nazron ke KHazanon se diya jo tu ne
ek tawangar se lage hum teri saughat ke ba'd
main KHata-kar rahun phir bhi nawaze aisi
aur koi zat na dekhi teri ek zat ke ba'd
yun to sahta raha dhupon ki wo bauchhaaren magar
mera ghar Tut gaya thoDi si barsat ke ba'd
zindagi ne to har ek gham se nawaza 'aqib'
kya bacha aur bata is ki 'inayat ke ba'd
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.