baiTha maghz na chaTa kar
baiThā maġhz na chāTā kar
uTh aur sair-sapāTā kar
baat bhī maanā kar koī
yūñhī ro'b na chhāñTā kar
matlab donoñ kā hai ek
ghāTā khā yā ghāTā kar
nefe se pistaul nikāl
mahfil meñ sannāTā kar
aaTe se roTī pakvā
phir roTī ko aaTā kar
lambī taan ke so jā aur
siskī ko ḳharrāTā kar
maar bhī khā hañstā bhī jā
haath hilā aur TaaTā kar
haath bāñdh pīchhe kī taraf
aage apnā gaaTā kar
āzādī achchhī hai 'zafar'
thoḌī qaid bhī kaaTā kar
baiTha maghz na chaTa kar
uTh aur sair-sapaTa kar
baat bhi mana kar koi
yunhi ro'b na chhanTa kar
matlab donon ka hai ek
ghaTa kha ya ghaTa kar
nefe se pistaul nikal
mahfil mein sannaTa kar
aaTe se roTi pakwa
phir roTi ko aaTa kar
lambi tan ke so ja aur
siski ko KHarraTa kar
mar bhi kha hansta bhi ja
hath hila aur TaTa kar
hath bandh pichhe ki taraf
aage apna gaTa kar
aazadi achchhi hai 'zafar'
thoDi qaid bhi kaTa kar
- Book : Ghazal Ka Shor (Pg. 93)
- Author : Zafar Iqbal
- Publication : Rekhta Publications (2023)
- Edition : 2nd
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.