baiThe baiThe muskura di KHud hi ghabrai kabhi
baiThe baiThe muskurā dī ḳhud hī ghabrā.ī kabhī
pyaar ke mausam meñ aisī bhī ghaḌī aa.ī kabhī
aap kā dāman to sāhil ret kā sābit huā
mauj-e-ashk-e-ḳhūñ bhī jis ko tar na kar paa.ī kabhī
apne sar le kar zamāne bhar kī saarī tohmateñ
dafn kar dī apnī ḳhāmoshī meñ goyā.ī kabhī
saath guzre chand lamhoñ kī sunahrī yaad se
chalne lagtī hai mire sāñsoñ meñ purvā.ī kabhī
zindagī bhar aap apne aa.ine meñ gum rahe
shaḳhsiyat yā shakl merī bhī nazar aa.ī kabhī
chhoḌiye ye to hamāre pyaar kā hai mo.ajiza
duur ab se aap bhī hote the harjā.ī kabhī
ik kiran hī chāñd kī ban kar maiñ ho jaatī nisār
aarzū lekin 'ayāñ' apnī na bar aa.ī kabhī
baiThe baiThe muskura di KHud hi ghabrai kabhi
pyar ke mausam mein aisi bhi ghaDi aai kabhi
aap ka daman to sahil ret ka sabit hua
mauj-e-ashk-e-KHun bhi jis ko tar na kar pai kabhi
apne sar le kar zamane bhar ki sari tohmaten
dafn kar di apni KHamoshi mein goyai kabhi
sath guzre chand lamhon ki sunahri yaad se
chalne lagti hai mere sanson mein purwai kabhi
zindagi bhar aap apne aaine mein gum rahe
shaKHsiyat ya shakl meri bhi nazar aai kabhi
chhoDiye ye to hamare pyar ka hai moajiza
dur ab se aap bhi hote the harjai kabhi
ek kiran hi chand ki ban kar main ho jati nisar
aarzu lekin 'ayan' apni na bar aai kabhi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.