Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

baiThe hain ab to hum bhi bologe tum na jab tak

Nazeer Akbarabadi

baiThe hain ab to hum bhi bologe tum na jab tak

Nazeer Akbarabadi

MORE BYNazeer Akbarabadi

    baiThe haiñ ab to ham bhī bologe tum na jab tak

    dekheñ to aap ham se nā-ḳhush raheñge kab tak

    iqrār thā sahar aisā huā sabab kyā

    jo shaam hone aa.ī aur vo na aayā ab tak

    mahfil meñ gul-ruḳhoñ ke aayā jo vo parī-rū

    ho shakl-e-hairat us sūrat rahe vo sab tak

    bosa 'nazīr' ham ko dene kahā thā us ne

    ham vaqt ke jis dam lene pahuñche Dhab tak

    har chand thā nashe meñ vo shoḳh to bhī us ne

    hargiz hamāre lab ko aane diyā na lab tak

    baiThe hain ab to hum bhi bologe tum na jab tak

    dekhen to aap hum se na-KHush rahenge kab tak

    iqrar tha sahar ka aisa hua sabab kya

    jo sham hone aai aur wo na aaya ab tak

    mahfil mein gul-ruKHon ke aaya jo wo pari-ru

    ho shakl-e-hairat us ki surat rahe wo sab tak

    bosa 'nazir' hum ko dene kaha tha us ne

    hum waqt pa ke jis dam lene ki pahunche Dhab tak

    har chand tha nashe mein wo shoKH to bhi us ne

    hargiz hamare lab ko aane diya na lab tak

    Source:

    Kulliyat-e-Nazeer (Pg. 100(213))

    • Author: Nazeer Akbarabadi
      • Publisher: Munshi Nawal Kishor, Lucknow
      • Year of Publication: 1951
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now