baiThe hain sar-e-baam-e-falak zulf bikhere
baiThe haiñ sar-e-bām-e-falak zulf bikhere
jaise ki kahīñ Daale hoñ banjāroñ ne Dere
is darja na bad-zan ho mirī jaan tū ham se
ham jo bhī haiñ jaise bhī haiñ mehmān haiñ tere
kyuuñ ham se mile koī ki hote haiñ hamesha
sar-sabz daraḳhtoñ pe parindoñ ke basere
kuchh din to phañsā kar rakhā maiñ ne use ḳhud meñ
phir saath nahīñ rah sakī tanhā.ī bhī mere
ham shahr-e-tamannā se agar kuuch kareñ to
aa aa ke tamāshā.ī lagā lete haiñ ghere
baiThe hain sar-e-baam-e-falak zulf bikhere
jaise ki kahin Dale hon banjaron ne Dere
is darja na bad-zan ho meri jaan tu hum se
hum jo bhi hain jaise bhi hain mehman hain tere
kyun hum se mile koi ki hote hain hamesha
sar-sabz daraKHton pe parindon ke basere
kuchh din to phansa kar rakha main ne use KHud mein
phir sath nahin rah saki tanhai bhi mere
hum shahr-e-tamanna se agar kuch karen to
aa aa ke tamashai laga lete hain ghere
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.