Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

bajae gul mujhe tohfa diya babulon ka

Kabir Ajmal

bajae gul mujhe tohfa diya babulon ka

Kabir Ajmal

MORE BYKabir Ajmal

    bajā.e gul mujhe tohfa diyā babūloñ

    maiñ munharif to nahīñ thā tire usūloñ

    izāla kaise karegā vo apnī bhūloñ

    ki jis ke ḳhuun meñ nashsha nahīñ usūloñ

    nafas qarz chukānā bhī koī khel nahīñ

    vo jaan jā.egā anjām apnī bhūloñ

    na.ī talāsh ke ye mīr-e-kārvāñ hoñge

    banāte jaao yuuñ silsila bagūloñ

    ye aaḌī tirchhī lakīreñ badal nahīñ saktīñ

    hazār vāsta dete raho usūloñ

    tamām falsafa-e-kā.enāt khul jaate

    kahāñ se TuuT gayā silsila nuzūloñ

    inhīñ se mujh ko milā azm-e-zindagī 'ajmal'

    maiñ jāntā huuñ ki kyā hai maqām phūloñ

    bajae gul mujhe tohfa diya babulon ka

    main munharif to nahin tha tere usulon ka

    izala kaise karega wo apni bhulon ka

    ki jis ke KHun mein nashsha nahin usulon ka

    nafas ka qarz chukana bhi koi khel nahin

    wo jaan jaega anjam apni bhulon ka

    nai talash ke ye mir-e-karwan honge

    banate jao yun hi silsila bagulon ka

    ye aaDi tirchhi lakiren badal nahin saktin

    hazar wasta dete raho usulon ka

    tamam falsafa-e-kaenat khul jate

    kahan se TuT gaya silsila nuzulon ka

    inhin se mujh ko mila azm-e-zindagi 'ajmal'

    main jaanta hun ki kya hai maqam phulon ka

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now