bajae koi shahnai mujhe achchha nahin lagta

Amir Ameer

bajae koi shahnai mujhe achchha nahin lagta

Amir Ameer

MORE BY Amir Ameer

  bajā.e koī shahnā.ī mujhe achchhā nahīñ lagtā

  mohabbat tamāshā.ī mujhe achchhā nahīñ lagtā

  vo jab bichhḌe the ham to yaad hai garmī chhuTTīyāñ thiiñ

  tabhī se maah july mujhe achchhā nahīñ lagtā

  vo sharmātī hai itnā ki hamesha us bātoñ

  qarīban ek chauthā.ī mujhe achchhā nahīñ lagtā

  na-jāne itnī kaḌvāhaT kahāñ se aa ga.ī mujh meñ

  kare jo merī achchhā.ī mujhe achchhā nahīñ lagtā

  mire dushman ko itnī fauqiyat to hai bahar-sūrat

  ki hai us ham-sā.ī mujhe achchhā nahīñ lagtā

  na itnī daad do jis meñ mirī āvāz dab jaa.e

  kare jo yuuñ pazīrā.ī mujhe achchhā nahīñ lagtā

  tirī ḳhātir nazar-andāz kartā huuñ use varna

  vo jo hai tirā bhaa.ī mujhe achchhā nahīñ lagtā

  bajae koi shahnai mujhe achchha nahin lagta

  mohabbat ka tamashai mujhe achchha nahin lagta

  wo jab bichhDe the hum to yaad hai garmi ki chhuTTiyan thin

  tabhi se mah july mujhe achchha nahin lagta

  wo sharmati hai itna ki hamesha us ki baaton ka

  qariban ek chauthai mujhe achchha nahin lagta

  na-jaane itni kaDwahaT kahan se aa gai mujh mein

  kare jo meri achchhai mujhe achchha nahin lagta

  mere dushman ko itni fauqiyat to hai bahar-surat

  ki tu hai us ki ham-sai mujhe achchha nahin lagta

  na itni dad do jis mein meri aawaz dab jae

  kare jo yun pazirai mujhe achchha nahin lagta

  teri KHatir nazar-andaz karta hun use warna

  wo jo hai na tera bhai mujhe achchha nahin lagta

  Videos
  This video is playing from YouTube

  Videos
  This video is playing from YouTube

  Amir Ameer

  Amir Ameer

  0
  COMMENTS
  VIEW COMMENTS

  Additional information available

  Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

  OKAY

  About this sher

  Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

  Close

  rare Unpublished content

  This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

  OKAY