Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

band kar rauzan-e-dar chaho ki raKHna na rahe

Pandit Daya Shankar Naseem Lakhnawi

band kar rauzan-e-dar chaho ki raKHna na rahe

Pandit Daya Shankar Naseem Lakhnawi

MORE BYPandit Daya Shankar Naseem Lakhnawi

    band kar rauzan-e-dar chāho ki raḳhna na rahe

    taak par dekhe nahīñ jhāñkne vaale tum ne

    muñh khāoge mirī jaan ḳhudā ḳhair kare

    muñh lagā rakkhe haiñ jis tarah rizāle tum ne

    uf karūñ dil ke jalan se to kaleja phaT jaa.e

    bulbulo kaise hazāroñ kiye naale tum ne

    dāman-e-ashk na chhoḌūñgā maiñ ai dīda-e-tar

    dil kiyā merā hasīnoñ ko havāle tum ne

    dast-o-pā vādī-e-vahshat tamannā thī tumheñ

    aable toḌ chuke ḳhaar nikāle tum ne

    kab shikast aise sanad hai ki daġhā ai ḳhaar

    haath se phoḌ liye paañv ke chhāle tum ne

    zulf-e-zanjīr-e-junūñ samjhe bhī ai hazrat-e-dil

    kyā paḌā pech ki paañv apne nikāle tum ne

    kis gulistāñ chaman-bandī hai ai mardum-e-chashm

    naḳhl-e-mizhgāñ se bhare ashkoñ se thāle tum ne

    bulbuleñ phūloñ se nālāñ haiñ ki shabnam ke evaz

    qatre sīmāb ke kānoñ meñ haiñ Daale tum ne

    chashm-o-abrū se kisī mast be-shak bah ke

    mai-kasho taaq pe kyoñ rakkhe haiñ pyāle tum ne

    kahīñ sūrat na bañdhī naqsh-e-tamannā 'nasīm'

    saikḌoñ sīm-badan sāñche meñ Dhāle tum ne

    band kar rauzan-e-dar chaho ki raKHna na rahe

    tak par dekhe nahin jhankne wale tum ne

    munh ki khaoge meri jaan KHuda KHair kare

    munh laga rakkhe hain jis tarah rizale tum ne

    uf karun dil ke jalan se to kaleja phaT jae

    bulbulo kaise hazaron kiye nale tum ne

    daman-e-ashk na chhoDunga main ai dida-e-tar

    dil kiya mera hasinon ko hawale tum ne

    dast-o-pa wadi-e-wahshat ki tamanna thi tumhein

    aable toD chuke KHar nikale tum ne

    kab shikast aise sanad hai ki dagha ki ai KHar

    hath se phoD liye panw ke chhaale tum ne

    zulf-e-zanjir-e-junun samjhe bhi ai hazrat-e-dil

    kya paDa pech ki panw apne nikale tum ne

    kis gulistan ki chaman-bandi hai ai mardum-e-chashm

    naKHl-e-mizhgan se bhare ashkon se thaale tum ne

    bulbulen phulon se nalan hain ki shabnam ke ewaz

    qatre simab ke kanon mein hain Dale tum ne

    chashm-o-abru se kisi mast ki be-shak bah ke

    mai-kasho taq pe kyon rakkhe hain pyale tum ne

    kahin surat na bandhi naqsh-e-tamanna ki 'nasim'

    saikDon sim-badan sanche mein Dhaale tum ne

    Source:

    Deewan-e-Naseem (Pg. 32)

    • Author: Pandit Daya Shankar Naseem Lakhnawi
      • Publisher: Matba Gulshan-e-Faiz, Lucknow
      • Year of Publication: 1895
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now