bani hai dahshaton ki ek andheri jhil mujh mein
banī hai dahshatoñ kī ik añdherī jhiil mujh meñ
tumhāre ḳhauf saare ho ga.e tahlīl mujh meñ
maiñ kartā hī rahā yakjā tamanna ke 'anāsir
hazāroñ ḳhvāb hote hī ga.e tashkīl mujh meñ
irāde to dil-e-nādān kartā thā musalsal
agarche ho nahīñ paayā koī takmīl mujh meñ
siyāhī shaam kī le kar vo utrā ḳhalvatoñ meñ
phir us ne naqsh kar dī raat kī tafsīl mujh meñ
mire baare meñ itnā ġhaur farmāne lage ho
kahīñ tum ho na jaao hū-ba-hū tabdīl mujh meñ
zamāna to mire andar kushāda ho rahā hai
musalsal ho rahī hai par mirī taqlīl mujh meñ
mujhe ab raushnī ke saath hī rahnā paḌegā
jalā kar rakh gayā vo pyaar kī qindīl mujh meñ
bani hai dahshaton ki ek andheri jhil mujh mein
tumhaare KHauf sare ho gae tahlil mujh mein
main karta hi raha yakja tamanna ke 'anasir
hazaron KHwab hote hi gae tashkil mujh mein
irade to dil-e-nadan karta tha musalsal
agarche ho nahin paya koi takmil mujh mein
siyahi sham ki le kar wo utra KHalwaton mein
phir us ne naqsh kar di raat ki tafsil mujh mein
mere bare mein itna ghaur farmane lage ho
kahin tum ho na jao hu-ba-hu tabdil mujh mein
zamana to mere andar kushada ho raha hai
musalsal ho rahi hai par meri taqlil mujh mein
mujhe ab raushni ke sath hi rahna paDega
jala kar rakh gaya wo pyar ki qindil mujh mein
- Book : Raushni Jaari Karo (Pg. 112)
- Author : Manish Shukla
- Publication : Rekhta Publications (2018)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.