banta tha din tumhaara kabhi dekh kar mujhe
bantā thā din tumhārā kabhī dekh kar mujhe
tum vaqt de rahe ho ghaḌī dekh kar mujhe
maiñ agle din alag sā na lagne lagūñ tumheñ
kuchh faisla na karnā abhī dekh kar mujhe
bādal ko dekh mor kahīñ nāchne lage
yuuñ zulf-e-tarh-dār khulī dekh kar mujhe
us kī to ḳhair baat hī kyā raqs meñ vo thā
us kī galī bhī jhuum uThī dekh kar mujhe
kohnī pe haath maar ke us ne kahā suno
bal khā rahī hai dekho nadī dekh kar mujhe
banta tha din tumhaara kabhi dekh kar mujhe
tum waqt de rahe ho ghaDi dekh kar mujhe
main agle din alag sa na lagne lagun tumhein
kuchh faisla na karna abhi dekh kar mujhe
baadal ko dekh mor kahin nachne lage
yun zulf-e-tarh-dar khuli dekh kar mujhe
us ki to KHair baat hi kya raqs mein wo tha
us ki gali bhi jhum uThi dekh kar mujhe
kohni pe hath mar ke us ne kaha suno
bal kha rahi hai dekho nadi dekh kar mujhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.