barabar jism ko dhamka rahi hai
barābar jism ko dhamkā rahī hai
hamārī maut kah kar aa rahī hai
chalo thoḌā bahut to so liye ham
magar ab aur sustī chhā rahī hai
mohalle bhar kī ḳhāmoshī kā matlab
mirī āvāz bāhar jā rahī hai
udāsī kar rahī hai apnā 'aadī
abhī sharteñ nahīñ manvā rahī hai
samajh lo ho chukā hai kaam āsāñ
agar vo mushkileñ ginvā rahī hai
jise nādān samjhā thā vo laḌkī
baḌī mushkil se dhokā khā rahī hai
hamīñ is jang ko haare nahīñ haiñ
tumhārī saltanat bhī jā rahī hai
barabar jism ko dhamka rahi hai
hamari maut kah kar aa rahi hai
chalo thoDa bahut to so liye hum
magar ab aur susti chha rahi hai
mohalle bhar ki KHamoshi ka matlab
meri aawaz bahar ja rahi hai
udasi kar rahi hai apna 'adi
abhi sharten nahin manwa rahi hai
samajh lo ho chuka hai kaam aasan
agar wo mushkilen ginwa rahi hai
jise nadan samjha tha wo laDki
baDi mushkil se dhoka kha rahi hai
hamin is jang ko haare nahin hain
tumhaari saltanat bhi ja rahi hai
- Book : Dukh Naye Kapde Badal Kar (Pg. 26)
- Author :Shariq Kaifi
- Publication : Rekhta Publications (2019)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.