baras baras se mujhe intizar tha jis ka
baras baras se mujhe intizār thā jis kā
palak jhapakne se pahle vo lamha biit gayā
sahar talak koī aayā na saath ke ghar meñ
barāmde meñ koī raat bhar Tahaltā rahā
maiñ āñkheñ band kiye jāgtā rahā shab bhar
ki koī ḳhvāb kisī bhūle-bisre lamhe kā
phir us kā naam hai kyoñ zīnat-e-dar-o-dīvār
vo ek shaḳhs jo ab tere shahr meñ na rahā
dabe qadam utar aa.ī hai raat peḌoñ par
vo so ke uThThā koī jugnū aañkh maltā huā
garāñ guzartā hai behad ye saañs kā uljhāv
hamāre rāste meñ aur fāsle na bichhā
sadā bhī degā mulāqāt kā tamannā.ī
khulā na chhoḌ ke baiTh apne ghar kā darvāza
mirī bayāz se kaaTe haiñ kis ne she'r 'jamāl'
ye mere baa'd mire ghar meñ kaun aayā thā
baras baras se mujhe intizar tha jis ka
palak jhapakne se pahle wo lamha bit gaya
sahar talak koi aaya na sath ke ghar mein
baramde mein koi raat bhar Tahalta raha
main aankhen band kiye jagta raha shab bhar
ki koi KHwab kisi bhule-bisre lamhe ka
phir us ka nam hai kyon zinat-e-dar-o-diwar
wo ek shaKHs jo ab tere shahr mein na raha
dabe qadam utar aai hai raat peDon par
wo so ke uThTha koi jugnu aankh malta hua
garan guzarta hai behad ye sans ka uljhaw
hamare raste mein aur fasle na bichha
sada bhi dega mulaqat ka tamannai
khula na chhoD ke baiTh apne ghar ka darwaza
meri bayaz se kaTe hain kis ne she'r 'jamal'
ye mere ba'd mere ghar mein kaun aaya tha
- Book : Akelepan Ki Intiha (Pg. 52)
- Author :Jamal Ehsani
- Publication : Rekhta Publications (2018)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.