barhami ke shor mein sargoshiyan bekar hain
barhamī ke shor meñ sargoshiyāñ bekār haiñ
ab hamāre biich kī nazdīkiyāñ bekār haiñ
ab tirī ḳhāmoshiyāñ paḌhne kī quvvat kho ga.ī
ab lab-e-ḳhāmosh kī sab 'arziyāñ bekār haiñ
jaane kitne ḳhvāb aa kar mil ga.e ik ḳhvāb meñ
ab hamārī raat kī tanhā.iyāñ bekār haiñ
ab koī dariyā hamāre darmiyāñ bahtā nahīñ
ab hamāre sāhiloñ kī kashtiyāñ bekār haiñ
ab chaman ke phuul khilne par hī āmāda nahīñ
ab bahāroñ kī ye saarī shoḳhiyāñ bekār haiñ
ab charāġhāñ hī nahīñ in kī vazāhat ke liye
ab dayār-e-shām kī tārīkiyāñ bekār haiñ
ab koī ahl-e-junūñ ko DhūñDne aatā nahīñ
ab garebāñ kī bikhartī dhajjiyāñ bekār haiñ
barhami ke shor mein sargoshiyan bekar hain
ab hamare bich ki nazdikiyan bekar hain
ab teri KHamoshiyan paDhne ki quwwat kho gai
ab lab-e-KHamosh ki sab 'arziyan bekar hain
jaane kitne KHwab aa kar mil gae ek KHwab mein
ab hamari raat ki tanhaiyan bekar hain
ab koi dariya hamare darmiyan bahta nahin
ab hamare sahilon ki kashtiyan bekar hain
ab chaman ke phul khilne par hi aamada nahin
ab bahaaron ki ye sari shoKHiyan bekar hain
ab charaghan hi nahin in ki wazahat ke liye
ab dayar-e-sham ki tarikiyan bekar hain
ab koi ahl-e-junun ko DhunDne aata nahin
ab gareban ki bikharti dhajjiyan bekar hain
- Book : Raushni Jaari Karo (Pg. 98)
- Author :Manish Shukla
- Publication : Rekhta Publications (2018)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.