barpa kisi din mahfil-e-tanhai karenge
barpā kisī din mahfil-e-tanhā.ī kareñge
aao to shab-e-hijr kī bharpā.ī kareñge
ham vo tire hushyār ki aap apne hī hāthoñ
apnī hī galī apnī hī rusvā.ī kareñge
kyoñ she'r sunāne pe mirī jaan musir ho
ham log to zaḳhmoñ kī pazīrā.ī kareñge
paanī pe chaleñge kabhī taireñge fazā meñ
mumkin nahīñ jo kuchh tire saudā.ī kareñge
neza liye nikle haiñ to kyoñ ḳhauf-zada ho
sarkār ba-har-hāl masīhā.ī kareñge
ro.eñge hameñ shahr ke hangāme divāno
jangal meñ agar anjuman-ārā.ī kareñge
aa jaao ki sīnoñ ke diye bujhne lage haiñ
aa jaao kahāñ tak nafas-ārā.ī kareñge
barpa kisi din mahfil-e-tanhai karenge
aao to shab-e-hijr ki bharpai karenge
hum wo tere hushyar ki aap apne hi hathon
apni hi gali apni hi ruswai karenge
kyon she'r sunane pe meri jaan musir ho
hum log to zaKHmon ki pazirai karenge
pani pe chalenge kabhi tairenge faza mein
mumkin nahin jo kuchh tere saudai karenge
neza liye nikle hain to kyon KHauf-zada ho
sarkar ba-har-haal masihai karenge
roenge hamein shahr ke hangame diwano
jangal mein agar anjuman-arai karenge
aa jao ki sinon ke diye bujhne lage hain
aa jao kahan tak nafas-arai karenge
- Book : Jism Ka Bartan Sard Pada Hai (Pg. 103)
- Author : Ameer Hamza Saqib
- Publication : Rekhta Publications (2019)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.