Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

barq se aashiyan ka rishta hai

Akhtar Ziai

barq se aashiyan ka rishta hai

Akhtar Ziai

MORE BYAkhtar Ziai

    barq se āshiyāñ rishta hai

    arsh se ḳhāk-dāñ rishta hai

    mere afsāna-e-mohabbat se

    aap dāstāñ rishta hai

    āj-kal ham junūñ-pasandoñ se

    har na.e imtihāñ rishta hai

    ahl-e-gulshan ḳhasta-hālī se

    sāzish-e-bāġhbāñ rishta hai

    aap muḳhtār aur ham majbūr

    sochiye to kahāñ rishta hai

    shaiḳh sāhab hūr-o-ġhilmāñ se

    sirf vahm-o-gumāñ rishta hai

    un 'aḳhtar' se yuuñ ta.alluq hai

    jis tarah jism-o-jāñ rishta hai

    barq se aashiyan ka rishta hai

    arsh se KHak-dan ka rishta hai

    mere afsana-e-mohabbat se

    aap ki dastan ka rishta hai

    aaj-kal hum junun-pasandon se

    har nae imtihan ka rishta hai

    ahl-e-gulshan ki KHasta-haali se

    sazish-e-baghban ka rishta hai

    aap muKHtar aur hum majbur

    sochiye to kahan ka rishta hai

    shaiKH sahab ka hur-o-ghilman se

    sirf wahm-o-guman ka rishta hai

    un ka 'aKHtar' se yun talluq hai

    jis tarah jism-o-jaan ka rishta hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now