barson ki meri pyas bujhane mein lagi hai
barsoñ kī mirī pyaas bujhāne meñ lagī hai
ik aag baḌī aag lagāne meñ lagī hai
ab khul ke gañvāne ke liye vo bhī nahīñ hai
jo 'umr mujhe vaqt kamāne meñ lagī hai
dastak sī koī zehn meñ paḌhtī hai magar kyā
ik zid hai jo āñkhoñ ko sulāne meñ lagī hai
tanhā.ī se niklo to tumheñ yaad dilā.ūñ
mushkil jo mujhe bhiiḌ juTāne meñ lagī hai
ik zaat mire dil ke makāñ meñ bhī nihāñ hai
ik zaat mirī ab bhī zamāna meñ lagī hai
chup merī abhī aur kisī chup se hai do-chār
aahaT kisī aahaT ko dabāne meñ lagī hai
maiñ saaf sī ik ruuh thā paanī kī tarah saaf
miTTī mujhe maT-mailā banāne meñ lagī hai
barson ki meri pyas bujhane mein lagi hai
ek aag baDi aag lagane mein lagi hai
ab khul ke ganwane ke liye wo bhi nahin hai
jo 'umr mujhe waqt kamane mein lagi hai
dastak si koi zehn mein paDhti hai magar kya
ek zid hai jo aankhon ko sulane mein lagi hai
tanhai se niklo to tumhein yaad dilaun
mushkil jo mujhe bhiD juTane mein lagi hai
ek zat mere dil ke makan mein bhi nihan hai
ek zat meri ab bhi zamana mein lagi hai
chup meri abhi aur kisi chup se hai do-chaar
aahaT kisi aahaT ko dabane mein lagi hai
main saf si ek ruh tha pani ki tarah saf
miTTi mujhe maT-maila banane mein lagi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.