bas ek nazm tha darkar sab simaT jaen
bas ek nazm thā darkār sab simaT jaa.eñ
maiñ kab ye chaah rahā thā ki dukh bhī kaT jaa.eñ
mu'āf kar to diyā hai magar kaho un se
vo thoḌī der mire sāmne se haT jaa.eñ
du'ā.eñ bhī to ri'āyat ke saath māñgī haiñ
na gar hoñ mere to us ke hī din palaT jaa.eñ
ḳhizāñ-rasīda sahī khil uThūñgā andar se
jo zard patte mire jism se lipaT jaa.eñ
maiñ chāhtā huuñ zarūrat na pesh aa.e mujhe
vo muntazir hai ki chīzoñ ke daam ghaT jaa.eñ
bas ek nazm tha darkar sab simaT jaen
main kab ye chah raha tha ki dukh bhi kaT jaen
mu'af kar to diya hai magar kaho un se
wo thoDi der mere samne se haT jaen
du'aen bhi to ri'ayat ke sath mangi hain
na gar hon mere to us ke hi din palaT jaen
KHizan-rasida sahi khil uThunga andar se
jo zard patte mere jism se lipaT jaen
main chahta hun zarurat na pesh aae mujhe
wo muntazir hai ki chizon ke dam ghaT jaen
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.