Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

bas ek sans liya khul ke laKHt-laKHt hua

Khurshid Talab

bas ek sans liya khul ke laKHt-laKHt hua

Khurshid Talab

MORE BYKhurshid Talab

    bas ek saañs liyā khul ke laḳht-laḳht huā

    ki zindagī na huī kāñch daraḳht huā

    bahut zahīn bhī honā vabāl-e-jāñ hai yahāñ

    hamāre saath har ik imtihān saḳht huā

    jahāñ pe mujh ko halīmī se kaam lenā thā

    usī maqām pe lahja mirā karaḳht huā

    na maiñ kisī ke liye zād-e-vasl ban paayā

    na hijratoñ meñ mirā koī sāz-e-raḳht huā

    'talab' havāoñ ke siine pe saañp loT gayā

    phir ek nanhā paudā ghanā daraḳht huā

    bas ek sans liya khul ke laKHt-laKHt hua

    ki zindagi na hui kanch ka daraKHt hua

    bahut zahin bhi hona wabaal-e-jaan hai yahan

    hamare sath har ek imtihan saKHt hua

    jahan pe mujh ko halimi se kaam lena tha

    usi maqam pe lahja mera karaKHt hua

    na main kisi ke liye zad-e-wasl ban paya

    na hijraton mein mera koi saz-e-raKHt hua

    'talab' hawaon ke sine pe sanp loT gaya

    phir ek nanha sa pauda ghana daraKHt hua

    Source:

    Bihar Mein Jadeed Ghazal (Pg. 93)

      • Publisher: Ataullah Khan Alwi
      • Year of Publication: 1955
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now