bas gaya ho zehn mein jaise koi Dar aaj-kal
bas gayā ho zehn meñ jaise koī Dar āj-kal
sab ikaTThā kar rahe haiñ chhat pe patthar āj-kal
shahr bhar kī nāliyāñ girtī haiñ jis tālāb meñ
vo samajhne lag gayā ḳhud ko samundar āj-kal
fā.iloñ kā Dher vetan meñ izāfa kuchh nahīñ
haañ agar baḌhtā hai to chashme kā number āj-kal
ug rahī haiñ sirf nafrat kī kaTīlī jhāḌiyāñ
bhā.ī-chāre kī zamīñ kitnī hai banjar āj-kal
'nāz' mujh ko hai añdhere is liye behad 'azīz
apnī parchhā.īñ se lagtā hai bahut Dar āj-kal
bas gaya ho zehn mein jaise koi Dar aaj-kal
sab ikaTTha kar rahe hain chhat pe patthar aaj-kal
shahr bhar ki naliyan girti hain jis talab mein
wo samajhne lag gaya KHud ko samundar aaj-kal
failon ka Dher wetan mein izafa kuchh nahin
han agar baDhta hai to chashme ka number aaj-kal
ug rahi hain sirf nafrat ki kaTili jhaDiyan
bhai-chaare ki zamin kitni hai banjar aaj-kal
'naz' mujh ko hai andhere is liye behad 'aziz
apni parchhain se lagta hai bahut Dar aaj-kal
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.