Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

bas ek nigah-e-karam hai kafi agar unhen pesh-o-pas nahin hai

Shakeel Badayuni

bas ek nigah-e-karam hai kafi agar unhen pesh-o-pas nahin hai

Shakeel Badayuni

MORE BYShakeel Badayuni

    bas ik nigāh-e-karam hai kaafī agar unheñ pesh-o-pas nahīñ hai

    zahe tamannā ki merī fitrat asīr-e-hirs-o-havas nahīñ hai

    nazar se sayyād duur ho yahāñ tirā mujh pe bas nahīñ hai

    chaman ko barbād karne vaale ye āshiyāñ hai qafas nahīñ hai

    kisī ke jalve taḌap rahe haiñ hudūd-e-hosh-o-ḳhirad se aage

    hudūd-e-hosh-o-ḳhirad se aage nigāh dastaras nahīñ hai

    jahāñ nairañgiyoñ se yaksar badal ga.ī āshiyāñ sūrat

    qafas samajhtī haiñ jin ko nazreñ vo dar-haqīqat qafas nahīñ hai

    kahāñ ke naale kahāñ aaheñ jamī haiñ un taraf nigāheñ

    kuchh is qadar mahv-e-yād huuñ maiñ ki fursat-e-yak-nafas nahīñ hai

    qusūr hai ishrat-e-guzishta husn-e-tāsīr allāh allāh

    vahī fazā.eñ vahī havā.eñ chaman se kuchh kam qafas nahīñ hai

    kisī be-e'tinā.iyoñ ne badal Daalā nizām-e-gulshan

    jo baat pahle bahār meñ thī vo baat ab ke baras nahīñ hai

    ye bū-e-sumbul ye ḳhanda-e-gul aur aah ye dukh bharī sadā.eñ

    qafas ke andar chaman hai shāyad chaman ke andar qafas nahīñ hai

    na hosh-e-ḳhalvat na fikr-e-mahfil ayaañ ho ab kis pe hālat-e-dil

    maiñ aap apnā ham-nafas huuñ mirā koī ham-nafas nahīñ hai

    kareñ bhī kyā shikva-e-zamāna kaheñ bhī kyā dard fasāna

    jahāñ meñ haiñ laakh dushman-e-jāñ koī masīhā-nafas nahīñ hai

    sunī haiñ ahl-e-junūñ ne aksar ḳhamoshi-e-marg sadā.eñ

    sunā ye thā kārvān-e-hastī rahīn-e-bāñg-e-jaras nahīñ hai

    chaman āzādiyāñ mo.aḳhḳhar tasavvur-e-āshiyāñ muqaddam

    ġham-e-asīrī hai nā-mukammal agar ġham-e-ḳhār-o-ḳhas nahīñ hai

    na kar mujhe sharmsār nāseh maiñ dil se majbūr huuñ ki jis

    hai yuuñ to kaun-o-makāñ pe qaabū magar mohabbat pe bas nahīñ hai

    kahāñ vo ummīd-e-āmad-āmad kahāñ ye īfā-e-ahd-e-fardā

    jab e'tibār-e-nazar na thā kuchh ab e'tibār-e-nafas nahīñ hai

    vahī haiñ naġhme vahī haiñ naale sun ai mujhe bhuul jaane vaale

    tirī samā.at se duur haiñ ye jabhī to nāloñ meñ ras nahīñ hai

    'shakīl' duniyā meñ jis ko dekhā kuchh us duniyā aur dekhī

    hazār naqqād-e-zindagī haiñ magar koī nukta-ras nahīñ hai

    bas ek nigah-e-karam hai kafi agar unhen pesh-o-pas nahin hai

    zahe tamanna ki meri fitrat asir-e-hirs-o-hawas nahin hai

    nazar se sayyaad dur ho ja yahan tera mujh pe bas nahin hai

    chaman ko barbaad karne wale ye aashiyan hai qafas nahin hai

    kisi ke jalwe taDap rahe hain hudud-e-hosh-o-KHirad se aage

    hudud-e-hosh-o-KHirad se aage nigah ki dastaras nahin hai

    jahan ki nairangiyon se yaksar badal gai aashiyan ki surat

    qafas samajhti hain jin ko nazren wo dar-haqiqat qafas nahin hai

    kahan ke nale kahan ki aahen jami hain un ki taraf nigahen

    kuchh is qadar mahw-e-yaad hun main ki fursat-e-yak-nafas nahin hai

    qusur hai ishrat-e-guzishta ka husn-e-tasir allah allah

    wahi fazaen wahi hawaen chaman se kuchh kam qafas nahin hai

    kisi ki be-e'tinaiyon ne badal hi Dala nizam-e-gulshan

    jo baat pahle bahaar mein thi wo baat ab ke baras nahin hai

    ye bu-e-sumbul ye KHanda-e-gul aur aah ye dukh bhari sadaen

    qafas ke andar chaman hai shayad chaman ke andar qafas nahin hai

    na hosh-e-KHalwat na fikr-e-mahfil ayan ho ab kis pe haalat-e-dil

    main aap hi apna ham-nafas hun mera koi ham-nafas nahin hai

    karen bhi kya shikwa-e-zamana kahen bhi kya dard ka fasana

    jahan mein hain lakh dushman-e-jaan koi masiha-nafas nahin hai

    suni hain ahl-e-junun ne aksar KHamoshi-e-marg ki sadaen

    suna ye tha karwan-e-hasti rahin-e-bang-e-jaras nahin hai

    chaman ki aazadiyan moaKHKHar tasawwur-e-ashiyan muqaddam

    gham-e-asiri hai na-mukammal agar gham-e-KHar-o-KHas nahin hai

    na kar mujhe sharmsar naseh main dil se majbur hun ki jis ka

    hai yun to kaun-o-makan pe qabu magar mohabbat pe bas nahin hai

    kahan wo ummid-e-amad-amad kahan ye ifa-e-ahd-e-farda

    jab e'tibar-e-nazar na tha kuchh ab e'tibar-e-nafas nahin hai

    wahi hain naghme wahi hain nale sun ai mujhe bhul jaane wale

    teri samaat se dur hain ye jabhi to nalon mein ras nahin hai

    'shakil' duniya mein jis ko dekha kuchh us ki duniya hi aur dekhi

    hazar naqqad-e-zindagi hain magar koi nukta-ras nahin hai

    RECITATIONS

    Nomaan Shauque

    Nomaan Shauque,

    Nomaan Shauque

    bas ek nigah-e-karam hai kafi agar unhen pesh-o-pas nahin hai Nomaan Shauque

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now