bas itni baat pe itna uchhal raha hun main
bas itni baat pe itna uchhal raha hun main
Dheerendra Singh Faiyaz
MORE BYDheerendra Singh Faiyaz
bas itnī baat pe itnā uchhal rahā huuñ maiñ
ba-rang-e-ḳhvāb un āñkhoñ meñ pal rahā huuñ maiñ
tumhāre saath yahāñ tak to aa gayā lekin
ab is ke baa'd irāda badal rahā huuñ maiñ
tumhāre ḳhvāb ko āñkhoñ meñ rakh ke jaagā huā
tumhārī yaad ke talvoñ ko mal rahā huuñ maiñ
jis ek ḳhvāb ke bā'is huī thī zaḳhmī aañkh
us ek ḳhvāb ko ab tak masal rahā huuñ maiñ
tumhāre baa'd badan barf sā jamā huā thā
dubārā aañch lagī hai pighal rahā huuñ maiñ
badan zamīn ko tohfe meñ de diyā maiñ ne
ab āsmān kī jānib nikal rahā huuñ maiñ
sunā.ī detī hai tū mujh ko duur jaatī huī
dikhā.ī detā hai hāthoñ ko mal rahā huuñ maiñ
bas itni baat pe itna uchhal raha hun main
ba-rang-e-KHwab un aankhon mein pal raha hun main
tumhaare sath yahan tak to aa gaya lekin
ab is ke ba'd irada badal raha hun main
tumhaare KHwab ko aankhon mein rakh ke jaga hua
tumhaari yaad ke talwon ko mal raha hun main
jis ek KHwab ke ba'is hui thi zaKHmi aankh
us ek KHwab ko ab tak masal raha hun main
tumhaare ba'd badan barf sa jama hua tha
dubara aanch lagi hai pighal raha hun main
badan zamin ko tohfe mein de diya main ne
ab aasman ki jaanib nikal raha hun main
sunai deti hai tu mujh ko dur jati hui
dikhai deta hai hathon ko mal raha hun main
- Book : Khaamushi Raasta Nikaalegi (Pg. 25)
- Author : Dheerendra Singh Faiyaz
- Publication : Rekhta Publications (2023)
- Edition : 3rd
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.