bas-ki har shai hai yahan apni hi tasir ke sath
bas-ki har shai hai yahāñ apnī hī tāsīr ke saath
raat amāvas kī nahīñ hotī hai tanvīr ke saath
charḳh-e-bechāra to maġhmūm sā hotā hai magar
kaañp jaatī hai zamīñ aah kī tāsīr ke saath
dekhne vaale zarā ġhaur se dekheñ un ko
kitnī chīzeñ haiñ paḌī hasrat-e-tā'mīr ke saath
thoḌe hī der meñ sūraj hai nikalne vaalā
raat qaa.em hai abhī vaqfa-e-tā'bīr ke saath
shāḳh-dar-shāḳh na ho jaa.e kahīñ bāñjh kā ruup
zahr phailā hai jo us shaḳhs kī taqrīr ke saath
kahīñ dariyāoñ ke paanī ko na sahrā kar de
ik 'ajab ḳhauf hai is daur kī tafsīr ke saath
mushkileñ hotī haiñ paidā isī bā'is ai 'shamīm'
raah āsāñ jo ulajh jaatī hai rah-gīr ke saath
bas-ki har shai hai yahan apni hi tasir ke sath
raat amawas ki nahin hoti hai tanwir ke sath
charKH-e-bechaara to maghmum sa hota hai magar
kanp jati hai zamin aah ki tasir ke sath
dekhne wale zara ghaur se dekhen un ko
kitni chizen hain paDi hasrat-e-ta'mir ke sath
thoDe hi der mein suraj hai nikalne wala
raat qaem hai abhi waqfa-e-ta'bir ke sath
shaKH-dar-shaKH na ho jae kahin banjh ka rup
zahr phaila hai jo us shaKHs ki taqrir ke sath
kahin dariyaon ke pani ko na sahra kar de
ek 'ajab KHauf hai is daur ki tafsir ke sath
mushkilen hoti hain paida isi ba'is ai 'shamim'
rah aasan jo ulajh jati hai rah-gir ke sath
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.