bas-ki na kaam aa saka ishq mein dil diya hua
bas-ki na kaam aa sakā 'ishq meñ dil diyā huā
hāsil-e-zīst ho gayā naam tirā liyā huā
hadd-e-junūñ se huuñ pare varna kahāñ ki rah sake
ḳhanda-e-nau-bahār se chāk-e-jigar siyā huā
'ishq kī aabrū vafā husn kī aarzū fanā
merā kiyā to kyā huā aap ne jo kiyā huā
kyoñ na havā-e-be-ḳhudī ho mujhe vaj.h-e-sarḳhushī
de ke sukūn-e-zindagī hai ye junūñ liyā huā
tere karam se go uThā lutf-e-jahān-e-mudda'ā
kam na magar huā tirā zauq-e-sitam diyā huā
chāragar-e-hayāt ne maut sī shai bhī dī to kyā
shauq-e-talab meñ bārhā zahr ye thā piyā huā
bas-ki na kaam aa saka 'ishq mein dil diya hua
hasil-e-zist ho gaya nam tera liya hua
hadd-e-junun se hun pare warna kahan ki rah sake
KHanda-e-nau-bahaar se chaak-e-jigar siya hua
'ishq ki aabru wafa husn ki aarzu fana
mera kiya to kya hua aap ne jo kiya hua
kyon na hawa-e-be-KHudi ho mujhe wajh-e-sarKHushi
de ke sukun-e-zindagi hai ye junun liya hua
tere karam se go uTha lutf-e-jahan-e-mudda'a
kam na magar hua tera zauq-e-sitam diya hua
chaaragar-e-hayat ne maut si shai bhi di to kya
shauq-e-talab mein barha zahr ye tha piya hua
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.