bas tu hi tu dikhai diya kul jahan mein
bas tū hī tū dikhā.ī diyā kul jahān meñ
lekin tirī kamī hai mire ḳhāndān meñ
nādāñ ne rakh liyā hai 'adū ko amaan meñ
kyā ḳhuub hausla hai tan-e-nā-tavān meñ
ham haiñ zamīn-zāde mubārak zamīñ hameñ
lekin hamārī fikr uḌe āsmān meñ
tasvīr ek jis se thā dīvār kā jamāl
ab vo paḌī huī hai kahīñ kūḌā-dān meñ
do chaar lafz saada bhī hoñToñ pe lā.iye
'ib.hām' to na Dāliye apne bayān meñ
bas tu hi tu dikhai diya kul jahan mein
lekin teri kami hai mere KHandan mein
nadan ne rakh liya hai 'adu ko aman mein
kya KHub hausla hai tan-e-na-tawan mein
hum hain zamin-zade mubarak zamin hamein
lekin hamari fikr uDe aasman mein
taswir ek jis se tha diwar ka jamal
ab wo paDi hui hai kahin kuDa-dan mein
do chaar lafz sada bhi honTon pe laiye
'ibham' to na Daliye apne bayan mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.