bas wahi lafz tazkire mein hai
bas vahī lafz tazkire meñ hai
vo jo shāmil tire pate meñ hai
ye bhī ik vasf hai 'ibādat kā
ye mohabbat ke qāfiye meñ hai
jab bhī chāhūñ maiñ dekh letā huuñ
vo nigāhoñ ke hāfize meñ hai
vo maza ḳhud ko dekhne meñ kahāñ
jo maza tujh ko dekhne meñ hai
maiñ jise raat bhar manātā huuñ
vo divālī mire diye meñ hai
aap kī bazm-e-nāz meñ aa kar
jī-huzūrī baḌe maze meñ hai
us ke paaoñ meñ hiltī hai pāzeb
aur khanaktī mire gale meñ hai
bas wahi lafz tazkire mein hai
wo jo shamil tere pate mein hai
ye bhi ek wasf hai 'ibaadat ka
ye mohabbat ke qafiye mein hai
jab bhi chahun main dekh leta hun
wo nigahon ke hafize mein hai
wo maza KHud ko dekhne mein kahan
jo maza tujh ko dekhne mein hai
main jise raat bhar manata hun
wo diwali mere diye mein hai
aap ki bazm-e-naz mein aa kar
ji-huzuri baDe maze mein hai
us ke paon mein hilti hai pazeb
aur khanakti mere gale mein hai
- Book : Hijr Ki Dusri Dawa (Pg. 18)
- Author : Fahmi Badayuni
- Publication : Rekhta Publications (2022)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.