bas ye hai meri zindagi ka dukh
bas ye hai merī zindagī kā dukh
mujh ko hotā hai har kisī kā dukh
dukh se phir kuchh nahīñ bigaḌtā hai
baañT le gar koī kisī kā dukh
mujh ko ġham aur bhī bahut haiñ par
tum ko rahtā hai muflisī kā dukh
jin ke bachchoñ ne ḳhud-kushī kar lī
un ke jaisā nahīñ kisī kā dukh
jab se rāhat nahīñ haiñ duniyā meñ
shā'irī ko hai is kamī kā dukh
kaaT dī dukh meñ zindagī ham ne
tum ko dukhtā hai do ghaḌī kā dukh
maiñ ne jab se tirī parastish kī
mujh ko khātā hai bandagī kā dukh
be-gunāhoñ kī jaan jaatī hai
maut kartī hai zindagī kā dukh
jin ko miltī hai shaam ko roTī
un ko hotā hai raushnī kā dukh
bas ye hai meri zindagi ka dukh
mujh ko hota hai har kisi ka dukh
dukh se phir kuchh nahin bigaDta hai
banT le gar koi kisi ka dukh
mujh ko gham aur bhi bahut hain par
tum ko rahta hai muflisi ka dukh
jin ke bachchon ne KHud-kushi kar li
un ke jaisa nahin kisi ka dukh
jab se rahat nahin hain duniya mein
sha'iri ko hai is kami ka dukh
kaT di dukh mein zindagi hum ne
tum ko dukhta hai do ghaDi ka dukh
main ne jab se teri parastish ki
mujh ko khata hai bandagi ka dukh
be-gunahon ki jaan jati hai
maut karti hai zindagi ka dukh
jin ko milti hai sham ko roTi
un ko hota hai raushni ka dukh
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.