bas zamin aasman dhyan mein rakh
bas zamīñ āsmān dhyān meñ rakh
kuchh nahīñ darmiyān dhyān meñ rakh
sunte sunte vo ek hī qissa
pak na jaa.eñ ye kaan dhyān meñ rakh
phir koī imtihān ḳhatm huā
phir koī imtihān dhyān meñ rakh
us ke aage khulegī ik duniyā
pahle bhaTkegā dhyān dhyān meñ rakh
ye sharāfat ye sādgī terī
luT na jaa.e dukān dhyān meñ rakh
yahīñ aanā hai lauT kar tujh ko
ye galī ye makān dhyān meñ rakh
bas zamin aasman dhyan mein rakh
kuchh nahin darmiyan dhyan mein rakh
sunte sunte wo ek hi qissa
pak na jaen ye kan dhyan mein rakh
phir koi imtihan KHatm hua
phir koi imtihan dhyan mein rakh
us ke aage khulegi ek duniya
pahle bhaTkega dhyan dhyan mein rakh
ye sharafat ye sadgi teri
luT na jae dukan dhyan mein rakh
yahin aana hai lauT kar tujh ko
ye gali ye makan dhyan mein rakh
- Book : Dhoop Mein Baithne Ke Din Aaye (Pg. 79)
- Author : Sunil Aftab
- Publication : Rekhta Publications (2024)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.