bashar ke dil par azal se likkhi KHuda ki pahli kitab hun main

bashar ke dil par azal se likkhi KHuda ki pahli kitab hun main
Fatima Mehru
MORE BYFatima Mehru
bashar ke dil par azal se likkhī ḳhudā kī pahlī kitāb huuñ maiñ
sunā rahā hai zamāna jis ko abad talak kā ḳhitāb huuñ maiñ
jo raakh samjho to aag jaisī jo zahr gholo to naag aisī
tumhārā partav likhī ga.ī huuñ tumhāre jaisā 'azāb huuñ maiñ
napī-tulī sī nigāh mere badan pe yaksar ghumāne vaalo
tumhārī 'aqloñ pe jo paḌā hai siyāh sangīñ hijāb huuñ maiñ
kalī kī sūrat masal ke mujh ko baḌhā rahe ho dukān-e-ḳhushbū
har ek gāhak se kah rahe ho sadā mahaktā gulāb huuñ maiñ
jo daftaroñ meñ jamī huī huuñ baqā kī ḳhātir khaḌī huī huuñ
savāl ban kar mujhe na dekho zarūratoñ kā javāb huuñ meñ
tumhī ne chhup kar mohabbatoñ ke dinoñ meñ mujh ko gulāb bheje
aur ab sabhī se ye kah rahe ho ġhalat farebī ḳharāb huuñ maiñ
mirī haqīqat ke ek ruḳh se nisāb-dānoñ ne ḳhuub khelā
kisī ne bas angbīn samjhā kisī ne likkhā sharāb huuñ meñ
bashar ke dil par azal se likkhi KHuda ki pahli kitab hun main
suna raha hai zamana jis ko abad talak ka KHitab hun main
jo rakh samjho to aag jaisi jo zahr gholo to nag aisi
tumhaara partaw likhi gai hun tumhaare jaisa 'azab hun main
napi-tuli si nigah mere badan pe yaksar ghumane walo
tumhaari 'aqlon pe jo paDa hai siyah sangin hijab hun main
kali ki surat masal ke mujh ko baDha rahe ho dukan-e-KHushbu
har ek gahak se kah rahe ho sada mahakta gulab hun main
jo daftaron mein jami hui hun baqa ki KHatir khaDi hui hun
sawal ban kar mujhe na dekho zaruraton ka jawab hun mein
tumhi ne chhup kar mohabbaton ke dinon mein mujh ko gulab bheje
aur ab sabhi se ye kah rahe ho ghalat farebi KHarab hun main
meri haqiqat ke ek ruKH se nisab-danon ne KHub khela
kisi ne bas angbin samjha kisi ne likkha sharab hun mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.