basti se dur shahr mein jaana paDa mujhe
bastī se duur shahr meñ jaanā paḌā mujhe
bachchoñ kā mas.ala thā kamānā paḌā mujhe
ġhairoñ ke dukh kā bojh uThānā paḌā mujhe
insāniyat kā farz nibhānā paḌā mujhe
ā.īna hāsidoñ ko dikhānā paḌā mujhe
kirdār aisā apnā banānā paḌā mujhe
yuuñ 'ishq kā vaqār baḌhānā paḌā mujhe
maqtal meñ tere vāste jaanā paḌā mujhe
nafrat kā thā añdherā bahut dūr-dūr tak
chāhat kā har charāġh jalānā paḌā mujhe
rakhnā thā ek lafz-e-mohabbat kā bhī bharam
tā-'umr us kā saath nibhānā paḌā mujhe
merī anāniyat ne ijāzat na dī magar
tū ne pukārā lauT ke aanā paḌā mujhe
jo apnī bevafā.ī meñ mash.hūr thā bahut
us ko sabaq vafā kā paḌhānā paḌā mujhe
kuchh is adā se bichhḌā vo 'arshī' ki us kā ġham
dānista āñsuoñ meñ chhupānā paḌā mujhe
basti se dur shahr mein jaana paDa mujhe
bachchon ka masala tha kamana paDa mujhe
ghairon ke dukh ka bojh uThana paDa mujhe
insaniyat ka farz nibhana paDa mujhe
aaina hasidon ko dikhana paDa mujhe
kirdar aisa apna banana paDa mujhe
yun 'ishq ka waqar baDhana paDa mujhe
maqtal mein tere waste jaana paDa mujhe
nafrat ka tha andhera bahut dur-dur tak
chahat ka har charagh jalana paDa mujhe
rakhna tha ek lafz-e-mohabbat ka bhi bharam
ta-'umr us ka sath nibhana paDa mujhe
meri ananiyat ne ijazat na di magar
tu ne pukara lauT ke aana paDa mujhe
jo apni bewafai mein mashhur tha bahut
us ko sabaq wafa ka paDhana paDa mujhe
kuchh is ada se bichhDa wo 'arshi' ki us ka gham
danista aansuon mein chhupana paDa mujhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.