Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

bazm-e-ahbab mein phaili jo suKHan ki KHushbu

Kamal Jafari

bazm-e-ahbab mein phaili jo suKHan ki KHushbu

Kamal Jafari

MORE BYKamal Jafari

    bazm-e-ahbāb meñ phailī jo suḳhan ḳhushbū

    mujh ko mahsūs huī mushk-e-ḳhutan ḳhushbū

    mere ash.ār meñ hai gañg-o-jaman ḳhushbū

    mujh ko lagtī hai bhalī arz-e-vatan ḳhushbū

    bāġh-e-jannat ke bhī phūloñ meñ nahīñ ho saktī

    aisī hotī hai shahīdoñ ke badan ḳhushbū

    jo rivāyāt ke munkir haiñ ye kah do un se

    merī tahzīb meñ hai ahd-e-kuhan ḳhushbū

    mujh ko farsūda mazāmīn se nisbat nahīñ

    merī ġhazloñ meñ hai pākīza chalan ḳhushbū

    yuuñ to vābasta huuñ har shoba-e-hastī se 'kamāl'

    mast rakhtī hai magar sher-o-suḳhan ḳhushbū

    bazm-e-ahbab mein phaili jo suKHan ki KHushbu

    mujh ko mahsus hui mushk-e-KHutan ki KHushbu

    mere ashaar mein hai gang-o-jaman ki KHushbu

    mujh ko lagti hai bhali arz-e-watan ki KHushbu

    bagh-e-jannat ke bhi phulon mein nahin ho sakti

    aisi hoti hai shahidon ke badan ki KHushbu

    jo riwayat ke munkir hain ye kah do un se

    meri tahzib mein hai ahd-e-kuhan ki KHushbu

    mujh ko farsuda mazamin se nisbat hi nahin

    meri ghazlon mein hai pakiza chalan ki KHushbu

    yun to wabasta hun har shoba-e-hasti se 'kamal'

    mast rakhti hai magar sher-o-suKHan ki KHushbu

    Source:

    (Pg. 163)

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now