be-dam hue bimar dawa kyon nahin dete
Interesting Fact
لاہور جیل،31دسمبر1958
be-dam hue bīmār davā kyoñ nahīñ dete
tum achchhe masīhā ho shifā kyoñ nahīñ dete
dard-e-shab-e-hijrāñ kī jazā kyoñ nahīñ dete
ḳhūn-e-dil-e-vahshī kā silā kyoñ nahīñ dete
miT jā.egī maḳhlūq to insāf karoge
munsif ho to ab hashr uThā kyoñ nahīñ dete
haañ nukta-varo laao lab-o-dil kī gavāhī
haañ naġhmagaro sāz-e-sadā kyoñ nahīñ dete
paimān-e-junūñ hāthoñ ko sharmā.egā kab tak
dil vaalo garebāñ kā patā kyoñ nahīñ dete
barbādī-e-dil jabr nahīñ 'faiz' kisī kā
vo dushman-e-jāñ hai to bhulā kyoñ nahīñ dete
be-dam hue bimar dawa kyon nahin dete
tum achchhe masiha ho shifa kyon nahin dete
dard-e-shab-e-hijran ki jaza kyon nahin dete
KHun-e-dil-e-wahshi ka sila kyon nahin dete
miT jaegi maKHluq to insaf karoge
munsif ho to ab hashr uTha kyon nahin dete
han nukta-waro lao lab-o-dil ki gawahi
han naghmagaro saz-e-sada kyon nahin dete
paiman-e-junun hathon ko sharmaega kab tak
dil walo gareban ka pata kyon nahin dete
barbaadi-e-dil jabr nahin 'faiz' kisi ka
wo dushman-e-jaan hai to bhula kyon nahin dete
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.