aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

be-harf-o-nawa suKHan to dekho

Sahba lakhnavi

be-harf-o-nawa suKHan to dekho

Sahba lakhnavi

MORE BYSahba lakhnavi

    be-harf-o-navā suḳhan to dekho

    ḳhvāboñ adhūrā-pan to dekho

    lafzoñ meñ simaT sakā na paikar

    insān ijz-e-fan to dekho

    chehre ke nuqūsh bolte haiñ

    tasvīr bāñkpan to dekho

    dāman ko bahār chhū ga.ī hai

    jaltā huā pairahan to dekho

    jangal sukūt kah rahā hai

    shahroñ meñ basī ghuTan to dekho

    sadiyoñ se lahū meñ tar hai dāman

    tārīḳh pairahan to dekho

    be-harf-o-nawa suKHan to dekho

    KHwabon ka adhura-pan to dekho

    lafzon mein simaT saka na paikar

    insan ka ijz-e-fan to dekho

    chehre ke nuqush bolte hain

    taswir ka bankpan to dekho

    daman ko bahaar chhu gai hai

    jalta hua pairahan to dekho

    jangal ka sukut kah raha hai

    shahron mein basi ghuTan to dekho

    sadiyon se lahu mein tar hai daman

    tariKH ka pairahan to dekho

    Source:

    Sahba Lakhnavi : Shakhsiyat Aur Adabi Khidmaat (Pg. 286)

      • Publisher: Irtiqa Matbuat, Karachi
      • Year of Publication: 1999
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now