be-KHudi si jo mere tan mein rachi hai saqi
be-ḳhudī sī jo mire tan meñ rachī hai saaqī
mai tirī chashm-e-fusūñ-sāz se pī hai saaqī
ye chhalakte hue ḳhum jaam surāhī sāġhar
kyā hī sairāb mirī tishna-labī hai saaqī
jis kā har dar kisī jannat kī taraf khultā hai
terā mai-ḳhāna vahī bāra-darī hai saaqī
lā koī jām-e-sakīnat ki qarār aa.e ise
mere sar meñ jo ye shorīda-sarī hai saaqī
ek do ghūñT faqat ġham ko bhulāne ke liye
tere mai-ḳhāne meñ kab koī kamī hai saaqī
na milā aab musaffā hī pilā aaj mujhe
tā bujhe aag jo siine meñ lagī hai saaqī
raqs kartī huī ab vajd meñ lā.egī mujhe
tere shīshe meñ jo rangīn parī hai saaqī
tū musir gar hai ki piinā bhī hai ik kār-e-savāb
lā pilā terī ḳhushī merī ḳhushī hai saaqī
hai mai-e-nāb se sarsabz mire tan kā shajar
tere altāf se har shāḳh harī hai saaqī
der mat karnā 'atā meñ ki rahe yā na rahe
terā mai-kash jo charāġh-e-saharī hai saaqī
hosh meñ rahnā thā āzār huā 'nasrīñ' par
tū jo maa.il huā tab baat banī hai saaqī
be-KHudi si jo mere tan mein rachi hai saqi
mai teri chashm-e-fusun-saz se pi hai saqi
ye chhalakte hue KHum jam surahi saghar
kya hi sairab meri tishna-labi hai saqi
jis ka har dar kisi jannat ki taraf khulta hai
tera mai-KHana wahi bara-dari hai saqi
la koi jam-e-sakinat ki qarar aae ise
mere sar mein jo ye shorida-sari hai saqi
ek do ghunT faqat gham ko bhulane ke liye
tere mai-KHane mein kab koi kami hai saqi
na mila aab musaffa hi pila aaj mujhe
ta bujhe aag jo sine mein lagi hai saqi
raqs karti hui ab wajd mein laegi mujhe
tere shishe mein jo rangin pari hai saqi
tu musir gar hai ki pina bhi hai ek kar-e-sawab
la pila teri KHushi meri KHushi hai saqi
hai mai-e-nab se sarsabz mere tan ka shajar
tere altaf se har shaKH hari hai saqi
der mat karna 'ata mein ki rahe ya na rahe
tera mai-kash jo charagh-e-sahari hai saqi
hosh mein rahna tha aazar hua 'nasrin' par
tu jo mail hua tab baat bani hai saqi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.