be-rabt se lafzon ke hain be-rabt maani
be-rabt se lafzoñ ke haiñ be-rabt ma'ānī
bālā-e-had-e-fahm hai hastī kī kahānī
ab lauT ke dekhūñ to dikhā.ī nahīñ detī
us rishta-e-derīna kī koī bhī nishānī
sahrā meñ pas-e-shām nikal aa.e na sūraj
lene ko hai añgḌā.ī vo ḳhvābīda javānī
dil meñ to samundar haiñ bahut karb ke lekin
āñkhoñ ko mayassar nahīñ do buuñd bhī paanī
bahte hue dariyā pe na kar takiya ki is ne
jalte hue ḳhemoñ kī nahīñ aag bujhānī
ai husn-e-samā'at abhī fursat nahīñ varna
ik turfa hikāyat thī mujhe tujh ko sunānī
mujh ko bhī havas rasta badalne kī thī lekin
qadmoñ ne kisī taur mirī baat na maanī
phir dekheñge kab sabz zamāna mire mausam
phir lauT ke kab aa.egī sā'at vo suhānī
ik lamha-e-āzād kī taḳhlīq hai ulfat
nāfiz hai kahāñ is pe koī qaid-e-zamānī
be-rabt se lafzon ke hain be-rabt ma'ani
baala-e-had-e-fahm hai hasti ki kahani
ab lauT ke dekhun to dikhai nahin deti
us rishta-e-derina ki koi bhi nishani
sahra mein pas-e-sham nikal aae na suraj
lene ko hai angDai wo KHwabida jawani
dil mein to samundar hain bahut karb ke lekin
aankhon ko mayassar nahin do bund bhi pani
bahte hue dariya pe na kar takiya ki is ne
jalte hue KHemon ki nahin aag bujhani
ai husn-e-sama'at abhi fursat nahin warna
ek turfa hikayat thi mujhe tujh ko sunani
mujh ko bhi hawas rasta badalne ki thi lekin
qadmon ne kisi taur meri baat na mani
phir dekhenge kab sabz zamana mere mausam
phir lauT ke kab aaegi sa'at wo suhani
ek lamha-e-azad ki taKHliq hai ulfat
nafiz hai kahan is pe koi qaid-e-zamani
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.