be-sabab hi shor sara tha kabhi
be-sabab hī shor saarā thā kabhī
dard-e-dil bhī dil kā chāra thā kabhī
ḳhud se ab bāteñ nahīñ hotī magar
bārhā ḳhud ko pukārā thā kabhī
jal rahā hai aaj apne aap meñ
haañ ye sho.ala ik sharār thā kabhī
zindagī pahle thī be-ma'ānī zarūr
haal kyā aisā hamārā thā kabhī
qatl karne ko bhare bāzār meñ
merī gardan par ishāra thā kabhī
kar rahā hai kyoñ takabbur gulsitāñ
goyā har dam abr-pāra thā kabhī
chal rahe haiñ kyoñ zamīñ ko thaam kar
gar nahīñ jhuknā gavāra thā kabhī
ham ko bhī āsān thā karnā safar
naam apne ik sitārā thā kabhī
be-vafāoñ se bharī tanzīm meñ
bā-vafāoñ kā idāra thā kabhī
kashtiyāñ socheñgī dariyā paar kar
is kināre kā kinārā thā kabhī
lauT kar aa.eñ haiñ 'sādiq' ham jahāñ
apnā bhī ik goshvāra thā kabhī
be-sabab hi shor sara tha kabhi
dard-e-dil bhi dil ka chaara tha kabhi
KHud se ab baaten nahin hoti magar
barha KHud ko pukara tha kabhi
jal raha hai aaj apne aap mein
han ye shoala ek sharar tha kabhi
zindagi pahle thi be-ma'ani zarur
haal kya aisa hamara tha kabhi
qatl karne ko bhare bazar mein
meri gardan par ishaara tha kabhi
kar raha hai kyon takabbur gulsitan
goya har dam abr-para tha kabhi
chal rahe hain kyon zamin ko tham kar
gar nahin jhukna gawara tha kabhi
hum ko bhi aasan tha karna safar
nam apne ek sitara tha kabhi
be-wafaon se bhari tanzim mein
ba-wafaon ka idara tha kabhi
kashtiyan sochengi dariya par kar
is kinare ka kinara tha kabhi
lauT kar aaen hain 'sadiq' hum jahan
apna bhi ek goshwara tha kabhi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.