be-sabab rah mein kyon aah-o-buka ki hogi
be-sabab raah meñ kyoñ āh-o-bukā kī hogī
zindagī ham ne kahīñ tujh se ḳhatā kī hogī
vahī taptī huī dhartī vahī uḌte bādal
shahr-dar-shahr yahī shakl havā kī hogī
phir janam leñge milan jism kā hogā lekin
vahī chādar vahī dīvār hayā kī hogī
sang-o-dīvār se har shahr meñ rishta hogā
dushmanī ham se magar āb-o-havā kī hogī
ḳhālī ḳhālī sī mirī tarh se bikhrī bikhrī
miltī-jultī yahī tasvīr ḳhalā kī hogī
merī āvāz pe āvāz na aa.ī 'māhir'
koī majbūrī idhar koh-e-nidā kī hogī
be-sabab rah mein kyon aah-o-buka ki hogi
zindagi hum ne kahin tujh se KHata ki hogi
wahi tapti hui dharti wahi uDte baadal
shahr-dar-shahr yahi shakl hawa ki hogi
phir janam lenge milan jism ka hoga lekin
wahi chadar wahi diwar haya ki hogi
sang-o-diwar se har shahr mein rishta hoga
dushmani hum se magar aab-o-hawa ki hogi
KHali KHali si meri tarh se bikhri bikhri
milti-julti yahi taswir KHala ki hogi
meri aawaz pe aawaz na aai 'mahir'
koi majburi idhar koh-e-nida ki hogi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.