Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

be-samjhe-bujhe mohabbat ki ek kafir ne iman liya

Siraj Lakhnavi

be-samjhe-bujhe mohabbat ki ek kafir ne iman liya

Siraj Lakhnavi

MORE BYSiraj Lakhnavi

    be-samjhe-būjhe mohabbat ik kāfir ne īmān liyā

    ab aaTh aaTh aañsū rote haiñ kyuuñ dil kahnā maan liyā

    ham fikr meñ the chhup kar dekheñ un jalvoñ ne pahchān liyā

    jab tak ye nazar uTThe uTThe zālim ne parda taan liyā

    kyuuñ husn-e-garāñ-māya ye kyā tere jalve itne arzāñ

    ek ek ḳhudā apnā apnā jis ne jise chāhā maan liyā

    jis par sadqe donoñ aalam us ashk qīmat kyā kahiye

    palkoñ par apnī tol chuke dāman meñ kisī ke chhān liyā

    ye koh-e-girāñ hilte haiñ kahīñ aur phir mazbūt irādoñ ke

    patthar lakīr hai ai nāseh jo ham ne dil meñ Thaan liyā

    jalva ki fareb-e-jalva thā jo ho tasvīr mukammal thī

    ik shor uThā har jānib se pahchān liyā pahchān liyā

    mujh se to kisī se bair na thā duniyā mire ḳhuun pyāsī hai

    maqtal taraf se jo guzrā ik haath lahū meñ saan liyā

    hoñToñ pe banāvaT vo hañsī fariyād aalam sāñsoñ meñ

    zālim mohabbat chhup na sakī jis ne dekhā pahchān liyā

    barsoñ uljhe arbāb-e-ḳhirad ye ek girah ab tak na khulī

    sar aap jhuk ga.e sajde meñ ghabrā ke ḳhudā ko maan liyā

    marnā ho 'sirāj' ki jiinā ho be-minnat-e-ġhair ho jo kuchh ho

    kyā rah ga.ī ḳhanjar-e-qātil gardan pe agar ehsān liyā

    be-samjhe-bujhe mohabbat ki ek kafir ne iman liya

    ab aaTh aaTh aansu rote hain kyun dil ka kahna man liya

    hum fikr mein the chhup kar dekhen un jalwon ne pahchan liya

    jab tak ye nazar uTThe uTThe zalim ne parda tan liya

    kyun husn-e-garan-maya ye kya tere jalwe itne arzan

    ek ek KHuda apna apna jis ne jise chaha man liya

    jis par sadqe donon aalam us ashk ki qimat kya kahiye

    palkon par apni tol chuke daman mein kisi ke chhan liya

    ye koh-e-giran hilte hain kahin aur phir mazbut iradon ke

    patthar ki lakir hai ai naseh jo hum ne dil mein Than liya

    jalwa ki fareb-e-jalwa tha jo ho taswir mukammal thi

    ek shor uTha har jaanib se pahchan liya pahchan liya

    mujh se to kisi se bair na tha duniya mere KHun ki pyasi hai

    maqtal ki taraf se jo guzra ek hath lahu mein san liya

    honTon pe banawaT ki wo hansi fariyaad ka aalam sanson mein

    zalim ki mohabbat chhup na saki jis ne dekha pahchan liya

    barson uljhe arbab-e-KHirad ye ek girah ab tak na khuli

    sar aap hi jhuk gae sajde mein ghabra ke KHuda ko man liya

    marna ho 'siraj' ki jina ho be-minnat-e-ghair ho jo kuchh ho

    kya rah gai KHanjar-e-qatil ka gardan pe agar ehsan liya

    Source:

    Shola-e-Aawaz (Pg. e-104 p-103)

    • Author: Siraj Lakhnavi
      • Edition: 1920
      • Publisher: Nizami Press, Lucknow
      • Year of Publication: 1920
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now