be-zabanon ka bhi ek taur bayan hota hai
be-zabānoñ kā bhī ik taur bayāñ hotā hai
chal mujhe le ke vahāñ chal ye jahāñ hotā hai
kisī kā saarā jahāñ kū-e-butāñ hotā hai
dil mirā chīḳh ke kahtā hai ki haañ hotā hai
ai ḳhudā tujh se mohabbat to nahīñ kam lekin
mujh pe ġhālib ye magar kār-e-jahāñ hotā hai
hijr meñ tum mire hañsne kā gila karte ho
asl meñ vo mirī jaañ zabt-e-fuġhāñ hotā hai
mire ash'ār ko āsān samajhne vaalo
mire har she'r meñ ik ramz nihāñ hotā hai
tum mujhe bāñdh ke rakh lo jo agar mumkin ho
yaar ḳhushbū kā magar koī makāñ hotā hai
merī āvāz se āvāz milāne vaale
tū mire saath hai yā mujh ko gumāñ hotā hai
tujh se maiñ soch ke aatī huuñ bahut kuchh kahne
par tire sāmne har lafz girāñ hotā hai
be-zabanon ka bhi ek taur bayan hota hai
chal mujhe le ke wahan chal ye jahan hota hai
kisi ka sara jahan ku-e-butan hota hai
dil mera chiKH ke kahta hai ki han hota hai
ai KHuda tujh se mohabbat to nahin kam lekin
mujh pe ghaalib ye magar kar-e-jahan hota hai
hijr mein tum mere hansne ka gila karte ho
asl mein wo meri jaan zabt-e-fughan hota hai
mere ash'ar ko aasan samajhne walo
mere har she'r mein ek ramz nihan hota hai
tum mujhe bandh ke rakh lo jo agar mumkin ho
yar KHushbu ka magar koi makan hota hai
meri aawaz se aawaz milane wale
tu mere sath hai ya mujh ko guman hota hai
tujh se main soch ke aati hun bahut kuchh kahne
par tere samne har lafz giran hota hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.